Friday, June 13, 2008

मुझसे वाकिफ.......

Mujh se vaqif to mere jism ka saya bhi na tha 
Kaise ho jata tumhara main Khud apna bhi na tha, 
Jitana mayoos hai vo shakhs bichar kar mujh se 
Itnii shiddat se to main ne use chaaha bhi na tha,
 Jaise ilzam lagaye hain mere sar us ne 
Aisi nazaron se to main ne use dekhaa bhi na tha 
Merii aavaaz kaa Gham shahar ne jana kaise 
Main to us bhiid main Khamosh tha bola bhi na tha......!!!!

No comments: