Thursday, October 4, 2007

Meri Dairy ke chand Panne............

5 th October, 2007


Ek waqt tha jab hum tere dil ke kareeb the

Ek waqt aaj bhi hai jo tum pahchante nahin

Chalan naya hai, ya ye tera andaje- ishk hai

Hum aaj bhi khade wahin kya tum jante nahin


Roshan jahan hai aaj bhi tere hin khwabon se

Gar sangdil ho to inhen kyon rokte nahin

Jajjbat har inshan ke dil men ek-sa hin hai

Thokar lagegi rah men kyon mante nahin

Kuchh Idhar-udhar ki baten .........

Shayari ek rahgujar hai jispe chalte hain wo log
Jinke dil khali nahin hai dard jamane bhar ka



सुनो भूखा मरा कोई, मगर वो राम जपता है,
कहीं दिखता नहीं ईश्वर, वो किसकी राह तकता है,
ये आशाओं का झूठा एक बवंडर है चला आता,
ये क्या आदेश भगवन का कि भाई को जला जाता,

चलो उस छ: दिसम्बर को ही बारम्बार दोहराएँ,
यहाँ उगने न दें सूरज, चलो भारत को बंटवाएँ।
हमें आदर्श प्यारे हैं, ये बच्चे भूल न जाएँ,
जला दें रेल फिर कोई, इन्हें गुजरात दिखलाएँ,

अजानों में, भजन में हम यही अब रोज दोहराएँ,
गाँधी ग़र कोई आए तो नाथूराम बन जाएँ,
बहुत हँसने लगा है देश, अँधेरा खोज कर लाएँ,
यहाँ उगने न दें सूरज, चलो भारत को बंटवाएँ।

मंदिर बचा लें और जन गण मन जला डालें,
असम वालों, चलो हिन्दी को जड़ से मिटा डालें,
महाराष्ट्र में घुसने न पाए कोई बिहारी,
चलो एक खेल खेलें, चीर डालें ये जमीं सारी,
चलो अब मन नहीं लगता, पाकिस्तान दोहराएँ,
यहाँ उगने न दें सूरज, चलो भारत को बंटवाएँ।

चलो हम पुल को पूजेंगे कि भारत भाड़ में जाए,
कोई बच्चा मरे भूखा तो अपना कर्म-फल पाए,
हमारा बस वही सच है जो तुलसीदास लिख देंगे,
कहाँ विज्ञान की ज़ुर्रत कि हमसे तर्क को आए,
अब आँखें चौंधियाती हैं, दिवाकर को ही खा जाएँ,
यहाँ उगने न दें सूरज, चलो भारत को बंटवाएँ।

चलो तकनीक को कोसें




Kasur na unka hai na mera, Hum dono hi rishton ki rasmein nibhate rahe,
Woh dosti ka ehsaas jatate rahe, Hum mohabbat ko dil mein chupate rahe.




Seeta hun sabke jakhm maga khud ke hare hain
Kya ek maseeha mere koi mere liye bhi hai




Afsos ho raha hai main kyo bhatak raha tha
Tuma pas hin khade the tum the mere kareeb
Main kyon na jan paya sab khwab tumhare the
Tarpan bhi tumhari thi nagmen bhi tumhare the




Badli-badli si nazar aati hai surat unki
Lagta hai aaj bhi unka katl ka irada hai
Jakhm jo pahle diye wo abhi hain jawan
Sab jakhm shayad phir sajayen ek mahfil



post scrap cancel

Tuesday, October 2, 2007

Ek Sawaal.......

Ek sawaal hai unse
Jinhe garoor hai aapni aklmandi ka
Jinhennaaj hai aapni hoshiyari pe

Ishk men kyon wafa ki hasrat hoti hai har insha ko
Jabki sabko maloom hai ishk aur wafa sath nahin rahte


Itni badi duniya, itne saare log
Itna bada chaman itni saari hasin kaliyan
Jahan sabko haqhai muskurane ka, khilkhilane ka
gar tum kishi ek ke hoke rah gaye
Phir auron ki hasrat ka kya hoga
Kyon sangdil hai inshan jo sochta nahin sabka
Pyar jo batne se badhta hai
Kyon samete rakhna chahta hai khud tak
Kyaaisi khudgarji thik hai

Hume kyon dard hota hai jab humsafar
Kuchh dertak kisi aur ke safar men saath ho leta hai
Kya wafa sirf ek se hin ho sakti hai
Kya insan ki taqat itni hin hoti hai

Kya jindagi men hum sirf ek hin jimmedari uthate hain
Kya naukari ke saath ghar nahin chalate
Kya bachchon ko nahin ghumate, icecream khilate
Kya Bibi kesaath bazar nahin jate
Kya uske tamam nakhre nahin uthate
Kya doston ke saath mahfil nahin sajate
Kya holi, Id, Diwali nahin manate
Kya yun hin aneko khwab nahin bunte
Kyaaaine ke samne nahin itrate
Kyahar khubsurat bala ko khwabon men nahinbulate
Bulakar tadpate aur tadpate
Kya be-wajah nahin muskurate, baukhlate

Jab itna kuchh kar sakte hain
itni kshamta hai hum sabme
To pyar bar bandish kyon
Pyar sirf ek se kyon
Kyon humpar bewafai ka iljam?

KYA NAM DOON.....

Aaj ghar se chale the hum ye sochkar...
Laut aayenge bin tere dar pe gaye...


Yaad mujhko nahin hosh kab gum hua...
Hosh aaya to dekha tere dar pe the...


Isko kya nam doon ab tumhin do bata...
Hai ye deewanapan ya muhabbat meri...

Jakhm seene ki koshish na kar.......

Jakhm seene ki koshish na kar janeman...
Thak too jayega par ye mitengen nahin...

Inki aadat hai jitna inhen chhedoge...
Badhte jayengen ye par rukegen nahin...

Lakh koshish karo ye mitengen nahin...
Gar mite to tumhen sath le jayengen...

Dard sahne ki aadat agar dal lo...
Jakhm honge magar jakhmi halat nahin...