Tuesday, October 2, 2007

Ek Sawaal.......

Ek sawaal hai unse
Jinhe garoor hai aapni aklmandi ka
Jinhennaaj hai aapni hoshiyari pe

Ishk men kyon wafa ki hasrat hoti hai har insha ko
Jabki sabko maloom hai ishk aur wafa sath nahin rahte


Itni badi duniya, itne saare log
Itna bada chaman itni saari hasin kaliyan
Jahan sabko haqhai muskurane ka, khilkhilane ka
gar tum kishi ek ke hoke rah gaye
Phir auron ki hasrat ka kya hoga
Kyon sangdil hai inshan jo sochta nahin sabka
Pyar jo batne se badhta hai
Kyon samete rakhna chahta hai khud tak
Kyaaisi khudgarji thik hai

Hume kyon dard hota hai jab humsafar
Kuchh dertak kisi aur ke safar men saath ho leta hai
Kya wafa sirf ek se hin ho sakti hai
Kya insan ki taqat itni hin hoti hai

Kya jindagi men hum sirf ek hin jimmedari uthate hain
Kya naukari ke saath ghar nahin chalate
Kya bachchon ko nahin ghumate, icecream khilate
Kya Bibi kesaath bazar nahin jate
Kya uske tamam nakhre nahin uthate
Kya doston ke saath mahfil nahin sajate
Kya holi, Id, Diwali nahin manate
Kya yun hin aneko khwab nahin bunte
Kyaaaine ke samne nahin itrate
Kyahar khubsurat bala ko khwabon men nahinbulate
Bulakar tadpate aur tadpate
Kya be-wajah nahin muskurate, baukhlate

Jab itna kuchh kar sakte hain
itni kshamta hai hum sabme
To pyar bar bandish kyon
Pyar sirf ek se kyon
Kyon humpar bewafai ka iljam?

No comments: