Nahin gamon pe rone ka
Har taraf sugandhit aalam hai
Deepon ka laga ab mela hai
Andhiyare man ke dafan karo
Khushiyon ke liye kuchh jatan karo
Jo gujar gaya wo bhool bhee ja
Ye waqt nahin ab rone ka..
Mana kal bahut andhera tha
Jag soona tha man akela tha
Ab poori duniya mahak uthee
Joognoo ki chamak se nikhar gayee
AA hum bhee isme shamil ho
Ye waqt nahin ab sone ka..
Happy Deepawali:)